Nishani koi to ab ke safar ki

Nishani koi to ab ke safar ki ghar lana'
takaan paon kiaur titliyon ke par lana,

mein likh rahi hoon kahani teri rifaqat ki,
jo ho sake to koi harf-e- motabar lana,

yahi na ho ke musalsal wafa thaka dale,
mohabbato'n mein nayya pan talash kar lana,

safar ke shoq mein chal to paray ho tum ghar se,
dukho'n ki gard se daman na apna bhar lana,

jo kohe qaaf chale ho to chand chehro'n ka,
mujasma koi acha talash kar lana,
"Noshi gilani shayari"
noshi gilani Urdu Poetry
Urdu shayari noshi gilani

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab