Shaam aur khushboo

kitne baras lage,yeh jann'ne mein mujhe
ke mere andar tera hona kya hai
aesa hona bhi cahiye tha
shaam hote hi
chand mein roshni nahi aajati
raat hote hi
raat ki rani mehek nahi uthti
'shaam aur khushboo ke beech
ek aesa lamha hota hai
jiska humari zameen se koi taluq nahi hota
us asmani lamhe ne
ab humen choo liya hai
"Parveen shakir"
best urdu poetry of Parveen Shakir
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab