Meri aankhon ke samandar mein

'Meri aankhon ke samandar mein'jalan kesi hai
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kesi hai
ab kisi chhat pe chiragho'n ki qataren bhi nahi
ab tere sheher ki galyo'n mein ghutan kesi hai
barf  ke roop mein dhal jayen ge saare rishte
mujhe se poochho ke mohabbat ki agan kesi hai
mein tere wasal ki khwahish ko na marne du'nga
mosam-e-hijar ke lehje mein thakan kesi hai
regzaro'n mein jo banti rahi kanto'n ki rida
uski majboor si aankhon mein kiran kesi hai
mujhe masoom si larki pe taras aata hai
usse dekho to mohabbat mein magan kesi hai
"Wasi shah poetry"
wasi shah-Urdu Poetry-Urdu Shayri-Urdu Ghazal-Urdu Poem
Urdu Poetry - Urdu Shayri - Urdu Ghazal - Urdu Poems

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab