Har ek zakhm ka chehra gulab jaisa hai

Har ek zakhm ka chehra gulab jaisa hai'
magar ye jagta manzar bhi khwab jaisa hai

ye talkh talkh sa lehja ye tez tez si baat
mizaj-e-yaar ka aalam sharab jaisa hai

mera sukhan bhi chaman dar chaman shufaq ki phuwaar
tera badan bhi mehektay gulab jaisa hai

bara taweel nehaayat haseen bohat mubham
mera sawaal tumhare jawab jaisa hai

tu zindagi ke haqaiq ki teh mein yu'n na utar
ke is nadi ka bahao chanab jaisa hai

teri nazar hi nahi harf-e-aashna warna
har ek chehra yahaan pe kitaab jaisa hai

chamak uthay to samandar bujhay to ret ki leher
mere khayaal ka darya saraab jaisa hai

tere qreeb bhi reh kar na paa sakoon tujhko
tere khayaal ka jalwa habaab jaisa hai
"Mohsin naqvi shayari"
Mohsin naqvi urdu poetry
Mohsin naqvi urdu poetry

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab