Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansoo

Raaz-E-Dil aam Kar Gaye Aansoo
GhaM Ko Badnaam Kar Gaye Aansoo

Aaj Usne Bhi Haal Puchh Liya
Aaj To Kaam Kar Gaye Aansoo

Log Phoolon Ke Sath Pahuche The,
Aur Hum Thaam Kar Gaye Aansoo,

Hum Kisike Na They Magar Humko
Aap Ke Naam Kar Gaye Aansoo

Har Kisi Ne Lagaya Daam............
Gam Ko Nilaam Kar Gaye Aansoo

Dhund Si Chha Gayi Hai Aankhon Mein
Har Taraf Shaam Kar Gaye Aansoo

Baat Mein Bhi Bahut Asar Tha
Aur Kuch Kaam Kar Gaye Aansoo

Shayri  to Sirf Shayri Thi..........
Usko Ilzaam Kar Gaye Aansoo
"Aansoo urdu poetry"
aansoo poetry, urdu shayari
Aansoo poetry in urdu

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab