Do bhed bhari aankhen

Ik khwab ki chilman se har raat mujhe dekhain
'Do bhed bhari aankhen'
har subah ko chiryon ki chehkar mein dhal jayen
Phoolon ki quba pehnain
Shabnam mein badal jayen
har shaam hawaon se ahwaal mera poochain
Do bhed bhari aankhen
Karti hain ajjab baaten kajal ki zubaan se ye
Dil leti Chali jayen andaz-e-bayyan se ye
Do bhed bhari aankhen
Ik khwab ki chilman se har raat mujhe dekhain
"Amjad islam amjad shayari"
Amjad Islam Amjad poetry in urdu
amjad islam amjad poetry in urdu

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab