Mohabbat ho rahi hai taza dam

Mohabbat ho rahi hai taza dam Aahista Aahista
Barhaaien aap bhi aagey qadam Aahista Aahista

Thakey paon bhi ham tere shabistan K musafir hain
Pohanch hi jaen ge manzil pe ham Aahista Aahista

Tera milna to kya, pegham hi ne kar diya sabit
KhuShi aaey to mit jatay hain gham Aahista Aahista

Khud un ko ham nay apnay kaaba-e-dil mein basaya tha
Ab is kaabay say niklen ge sanam Aahista Aahista

Abhi to wo hamaray shehar e dil k khas mehmaan hain
Khulay ga husan walon ka bharam Aahista Aahista

Bohat kam Aas rakhni chaheay shaadabi e dil ki
BaraSta hai yahan abr e karam Aahista Aahista

Qateel Anjaam hota kaSh apna Aashiqon jaisa
K dam daitay kiSi zaano pe ham Aahista Aahista
"Qateel Shifai"
qateel shifai Urdu Poetry
poetry of qateel shifai

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab