Toot kar pyar kyon nahi karta

Toot kar pyar kyon nahi karta
khul k izhaar kyon nahi karta

naqal karta hai qisae darwesh
apna kirdaar kyon nahi karta

sar uThane lagi hain deewarein
un ko musmaar kyon nahi karta

ye tere haath ki lakeeren hain
tu unhain paar kyon nahi karta

kya  hui  Sed    afgani   teri
loT  kar war kyon  nahi  karta

wadi-e-gul  talaash karta  hai
ser-r-kuhsaar  kyon nahi karta

yaar tu kis hawa mein rehta hai
apna ghar baar kyon nahi  karta
"rasa chughtai urdu poetry"
urdu poetry of rasa chughtai
rasa chughtai poetry

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab