Socha tha ke rakhun ga mein

urdu poetry by saadullah shah, urdu shayari
Saadullah shah shayari
Socha tha k rakhu ga mein umron teri yadein
tanhaa jo mein beTha hun to 'pal bhi nahi niklaa'

wo paiR ke jiskaa nahi rishta ye zameen se
jhulsa hai kaRi dhoop mein phal bhi nahi nikla

pheltey hain sitare dar-e-shab par bhi hai pehra
kyon Aaj wo roshan ho jo kal bhi nahi nikla

beTha tha musafat se Dar kar lab-e-darya
nikla hu to sathi mera thal bhi nahi nikla

mudat se yahi ek ghuTan hai mere dil mein
bhool to nahi uss ko badal bhi nahi nikla

mushkil jo nahi kaam to Aasaan bhi nahi hai
Uljhaa bhi nahi hun koi Hal bhi nahi nikla

Ik Gham tha meri rooh ka jisne mujhe maara
Ye gham hai k wo roz-e-azal bhi nahi nikla
'Saadullah shah poetry'

Comments

Popular posts from this blog

kachi umar ke khwab